اردو हिंदी
Na tez-rau the na joinda-e-maqam the hum | Shaahi Shayari
na tez-rau the na joinda-e-maqam the hum

Ghazal

Na tez-rau the na joinda-e-maqam the hum

Khawar Ahmad

;

na tez-rau the na joinda-e-maqam the hum
wo ham-safar tha to kaise saba-KHiram the hum

hujum-e-sang mein kya ho suKHan-taraaz koi
wo ham-suKHan tha to kya kya na KHush-kalam the hum

bahut qarib se dekhe jo us ke lab to khula
ki ek umr se kyun itne tishna-kaam the hum

wo sara daur tha ruswaiyon se pahle ka
ki shahr-yar the yaron mein nek-nam the hum

ye mehrbani bhi hum pe rahi mohabbat ki
ki KHas rahte hue bhi bahut hi aam the hum

visal ka koi imkan hi na tha 'KHawar'
wo zar-nigar-e-sahar tha ghubar-e-sham the hum