na tan mein ustuKHwan ne rag rahi hai
labon par kyunki jaan ab lag rahi hai
hamein puchho to hasti se adam tak
masafat kya hai han yak Dag rahi hai
tumhaari yaad mein ai shoala-KHuban
zaban-e-shama par lau lag rahi hai
hamein yak umr se kuche mein us ke
talash-e-pa-e-bos-e-sag rahi hai
na ja us ki taraf tu aaj 'hatim'
wahan shamshir-e-abru bag rahi hai
Ghazal
Na tan mein ustuKHwan ne rag rahi hai
Shaikh Zahuruddin Hatim