اردو हिंदी
Na tare afshan na kahkashan hai namuna hansti hui jabin ka | Shaahi Shayari
na tare afshan na kahkashan hai namuna hansti hui jabin ka

Ghazal

Na tare afshan na kahkashan hai namuna hansti hui jabin ka

Riyaz Khairabadi

;

na tare afshan na kahkashan hai namuna hansti hui jabin ka
khula hai parcham gaDa hai jhanDa falak par us aah-e-atishin ka

rahe hain ghul-mil ke kaise donon ye ek hain dil ke kaise donon
chhuTa jo hum se kisi ka daman to sath hai ashk-o-atshin ka

jo ek ho to hum us ko roen hue hain dushman badan ke roen
hamein to har tar-e-astin par guman hai mar-e-astin ka

jo rang un ka badal chala hai to shauq ab hai na walwala hai
bahut hi nazuk muamla hai visal-e-mashuq-e-naznin ka

chaDhi hai kachche ghaDe ki aisi bandhi hai ye dhun hamein bhi saqi
chakhaen waiz ko aaj hum bhi zara maza shahad-o-angbin ka

tumhaare inkar ne chubhoe hamare dil mein hazaron nashtar
tum aise nazuk ki naqsh ban kar raha labon par nishan nahin ka

jo chhinTen uD kar paDin KHudaya wo aur mahshar karengi barpa
hai meri gardan par aur ulTa ye KHun qatil ki aastin ka

kali na daman ki muskurae na aastin teri gul khilae
main sadqe qatil na rang lae ye KHun daman ka aastin ka

'riyaz' mashuq-e-mah-paikar koi na koi hai jalwa-gustar
ki sham aai hai jo mere ghar wo chand lai hai chaudhwin ka