na surKHi ghuncha-e-gul mein tere dahan ki si
na yasman mein safai tere badan ki si
main kyun na phulun ki us gul-badan ke aane se
bahaar aaj mere ghar mein hai chaman ki si
ye barq-e-abr mein dekhe se yaad aati hai
jhalak kisi ke dupaTTe mein nau-ratan ki si
gulon ke rang ko kya dekhte ho ai KHuban
ye rangaten hain tumhaare hi pairahan ki si
jo dil tha wasl mein aabaad tere hijr mein aah
bani hai shakl ab us ki ujaD ban ki si
tu apne tan ko na de nastaran se ab tashbih
bhala tu dekh ye narmi hai tere tan ki si
tera jo panw ka talwa hai bazm-e-maKHmal sa
safai is mein hai kahiye to nastaran ki si
'nazir' ek ghazal is zamin mein aur bhi likh
ki ab to kam hai rawani tere suKHan ki si
Ghazal
Na surKHi ghuncha-e-gul mein tere dahan ki si
Nazeer Akbarabadi