اردو हिंदी
Na sunti hai na kahna chahti hai | Shaahi Shayari
na sunti hai na kahna chahti hai

Ghazal

Na sunti hai na kahna chahti hai

Manzoor Hashmi

;

na sunti hai na kahna chahti hai
hawa ek raaz rahna chahti hai

na jaane kya samai hai ki ab ki
nadi har samt bahna chahti hai

sulagti rah bhi wahshat ne chun li
safar bhi pa-barahna chahti hai

talluq ki ajab diwangi hai
ab us ke dukh bhi sahna chahti hai

ujale ki duaon ki chamak bhi
charagh-e-shab mein rahna chahti hai

bhanwar mein aandhiyon mein baadban mein
hawa masruf rahna chahti hai