na sochen ahl-e-KHirad mujh ko aazmane ko
main jaanta hun bahut aql ke fasane ko
nahin qafas se nikalne ki aarzu sayyaad
dikha de ek nazar mere aashiyane ko
asir kar ke qafas mein mujhe ye hairat hai
wo kah rahe hain mujhi se chaman bachane ko
suluk ahl-e-chaman se ye baghban ne kiya
qafas samajhne lage hain sab aashiyane ko
batao tum ko ye kya ho gaya hai ahl-e-chaman
jala rahe ho jo KHud apne aashiyane ko
jafa-o-zulm ke is tund tez tufan mein
wo mujh se kahte hain sham-e-wafa jalane ko
gira rahe hain musalsal wo bijliyan 'danish'
batao kaise bachaoge aashiyane ko
Ghazal
Na sochen ahl-e-KHirad mujhko aazmane ko
Danish Farahi