na shoKHiyon se kare hain wo chashm-e-gul-gun raqs
ki un ke pine se karta hai wan mera KHun raqs
na pech-o-tab-e-hawa se hai aab mein girdab
ki mere ashk ke aage kare hai jaijun raqs
tawaf-e-soKHta-e-ishq dekh le ai shama
kare hai jalne se aage patang-e-maftun raqs
kare hai shola-e-sham-e-sahar sa lab pe mere
ai aaftab-laqa KHush ho jaan-e-mahzun raqs
misal-e-qibla-numa faKHr fikr-e-'uzlat' se
kare hai misra-e-raushan ke bich mazmun raqs

Ghazal
Na shoKHiyon se kare hain wo chashm-e-gul-gun raqs
Wali Uzlat