اردو हिंदी
Na shikwe hain na fariyaaden na aahen hain na nale hain | Shaahi Shayari
na shikwe hain na fariyaaden na aahen hain na nale hain

Ghazal

Na shikwe hain na fariyaaden na aahen hain na nale hain

Rahi Shahabi

;

na shikwe hain na fariyaaden na aahen hain na nale hain
tumhaare chahne wale bhi kaisi aan wale hain

udhar duniya idhar ahl-e-wafa ab dekhiye kya ho
udhar kanTe hi kanTe hain idhar chhaale hain chhaale hain

unhen daman mein chun lo ya gira do ashk-e-gham mere
tumhaari hi amanat the tumhaare hi hawale hain

sahar se sham hone aa rahi hai ai dil-e-nadan
na wo jab aane the na wo ab aane wale hain

kisi ki yaad ashkon ka tasalsul le ke aai hai
charaghan hi charaghan hai ujale hi ujale hain

raqibon ka hamein kya gham tumhin pachhtaoge ek din
ki apni aastinon mein ye tum ne sanp pale hain

wafa ki saKHt rahen aur musafir saKHt-jaan un ke
ye rahen bhi anokhi hain ye rahi bhi nirale hain

ye kaisi subh-e-nau aai ki jis par sham hansti hai
andhere jis se sharminda hon ye kaise ujale hain

sitam dekho zabanen kholne ka waqt hai 'rahi'
magar ahl-e-zaban KHamosh hain honTon pe tale hain