na sharh-e-shauq na taskin jaan-e-zar mein hai
maza jo apni mohabbat ke e'tibar mein hai
abhi se hosh na kho baiTh ai nasim-e-chaman
abhi to ek shikan zulf-e-tabdar mein hai
KHud apne ishq ki ranginiyon mein gum ho ja
nahin kuchh aur agar ye to iKHtiyar mein hai
ye mahwiyat koi dekhe ki misl-e-aina
junun-e-KHud-nigari apne intizar mein hai
na hai nasib mili aur ba-qadr-e-zarf mili
supurdagi ki jo ek shan iKHtiyar mein hai
harif-e-bazm-e-tamasha teri nigah nahin
wagarna husn to KHud tere intizar mein hai
'asar' mujhe hai wahan ruKHsat-e-nawa-sanji
ki naghma ek lab-e-KHamosh jab dayar mein hai
Ghazal
Na sharh-e-shauq na taskin jaan-e-zar mein hai
Asar Lakhnavi