اردو हिंदी
Na sar chhupane ko ghar tha na aab-o-dana tha | Shaahi Shayari
na sar chhupane ko ghar tha na aab-o-dana tha

Ghazal

Na sar chhupane ko ghar tha na aab-o-dana tha

Haidar Ali Jafri

;

na sar chhupane ko ghar tha na aab-o-dana tha
zamane bhar ki nigahon ka main nishana tha

bhula na paya use jis ko bhul jaana tha
wafaon se mera rishta bahut purana tha

jo aks-e-ghair ki tabish mein DhunDta tha jila
us aaine ko bikharna tha TuT jaana tha

dariche mazi ke khulne lage to yaad aaya
yahin kahin kisi Dali pe aashiyana tha

sile mein kya mujhe milta jo aur ruk jata
tere KHutut ko ek roz to jalana tha

jahan pe tair-e-fikr-e-suKHan ke par silte
wahin pe aql-o-KHirad ka naya Thikana tha

lahu ka rang chaTanon ke aabshaaron mein
unhen nasheb mein dariya-e-KHun bahana tha

qaba-e-surKH siyah baadalon ne oDhi thi
kisi ke jurm se parda unhen uThana tha

wo ek halke tabassum ki kaT sah na saka
sitam ka war bhi kis darja buzdilana tha

tamam shorishen saffakiyan uruj pe thin
bil-aKHir un ko adalat se chhuT jaana tha

dukan lagae hun TuTe hue khilaune ki
ki bhulta nahin bachpan bhi kya zamana tha