na sang-e-rah na sadd-e-quyud ki surat
main Dah raha hun ab apne wajud ki surat
jagah pe apni jama hai wo sang ki manind
bikhar raha hun main diwar-e-dud ki surat
jabin pe KHak-e-taqaddus hun mujh ko pahchano
chamak raha hun main naqsh-e-sujud ki surat
meri nazar mein tayaqqun ki dhup raushan ho
kabhi to phaile wo rang-e-shuhud ki surat
guzashta sadiyon ka bhi bojh mujh ko Dhona tha
ada hua hun main har lamha sud ki surat
laraz raha hun main apni jasaraton par 'sham'
wo sahma sahma khaDa hai jumud ki surat
Ghazal
Na sang-e-rah na sadd-e-quyud ki surat
Sham Rizvi