اردو हिंदी
Na samajh saki jo duniya ye zaban-e-be-zabani | Shaahi Shayari
na samajh saki jo duniya ye zaban-e-be-zabani

Ghazal

Na samajh saki jo duniya ye zaban-e-be-zabani

Akhtar Muslimi

;

na samajh saki jo duniya ye zaban-e-be-zabani
tera chehra KHud kahega mere qatl ki kahani

ye azab-e-asmani ye itab-e-na-gahani
hain kahan samajhne wale mere aansuon ko pani

kahin luT raha hai KHirman kahin jal raha hai gulshan
use kis ne saunp di hai ye chaman ki pasbani

meri tujh se kya hai nisbat mera tujh se wasta kya
tu haris-e-lala-o-gul main fida-e-baghbani

tujhe naz husn par hai mujhe naz ishq par hai
tera husn chand-roza mera ishq jawedani

ye wo dil-ruba hai duniya mere dosto ki jis ki
na koi ada nai hai na koi ada purani

koi us se kah de 'aKHtar' zara hosh mein wo aae
na rahega zindagi bhar ye surur-e-shadmani