اردو हिंदी
Na sail-e-rang na sayyara mahtab mera | Shaahi Shayari
na sail-e-rang na sayyara mahtab mera

Ghazal

Na sail-e-rang na sayyara mahtab mera

Ishrat Zafar

;

na sail-e-rang na sayyara mahtab mera
hai mere sine mein angara mahtab mera

chhaTi ufuq ki siyah-gard to dikhai diya
payam-e-wasl ka harkara mahtab mera

KHala mein muztarib-o-be-qayam meri tarah
ye mere dasht ka banjara mahtab mera

KHunuk hawaon ka maskan bisat-e-KHak meri
lahu ki aanch ka gahwara mahtab mera

chihaar samt mare aab-zar aur is mein
ghurub hota hua tara mahtab mera

KHud apne nur se karta hai iktisab-e-jamal
wo ek shola-e-awara mahtab mera

tamam raat muKHatib raha mare dil se
wahi sukut ka fawwara mahtab mera

zamin pe dhum mere zaKHm-e-na-shagufta ki
falak pe hasil-e-nazzara mahtab mera

main justuju mein usi kuza-gar ki hun 'ishrat'
hai jis ke chaak ka fan-para mahtab mera