na sahra hai na ab diwar-o-dar hai
chaman mein naghma-gar saz-e-sahar hai
suragh-e-karwan-e-rang-o-bu se
saba aawara-e-gard-e-safar hai
asiro ab dar-e-zindan karo baz
sar-e-naKHun koi uqd-e-guhar hai
nadimo dad do ahl-e-junun ko
namak-dan zaKHm-e-pa hai zaKHm-e-sar hai

Ghazal
Na sahra hai na ab diwar-o-dar hai
Arshi Bhopali