na sath dega koi rah aashna mera
juda hai sare zamane se rasta mera
guzar ke aai hun main gham ke regzaron se
nazar udas hai dil hai dukha hua mera
na jaane kis liye qatil ke ashk bhar aae
faraaz-e-dar pe jab samna hua mera
dayar-e-jaan mein farozan rahegi sham-e-hayat
samajh liya teri aankhon ne muddaa mera
kiya hai pesh tujhe aansuon ka nazrana
hujum-e-sham-e-alam aur dil jala mera
wo saneha mere dil par guzar gaya 'gulnar'
har ek harf-e-dua be-sada hua mera
Ghazal
Na sath dega koi rah aashna mera
Gulnar Aafreen