na saqi hai na mina hai na bar mein yar-e-jaani hai
haqiqat mein nahin jite ba-surat zindagani hai
nawazish par mizaj aaya jahan din galiyan lakhon
karam hai aap ka turfa ajaib mehrbani hai
suno Tuk gosh-e-dil se qissa-e-jaan soz ko mere
ki jag-biti nahin hai aap-biti ye kahani hai
abas hai soch tujh ko nama-bar de shauq se mujh ko
koi jhiDki koi gali agar us ki zabani hai
tu apne hath ka chhalla jo har ek se chhupata hai
bata 'afsos' kis parda-nashin ki ye nishani hai
Ghazal
Na saqi hai na mina hai na bar mein yar-e-jaani hai
Miir Sher Alii Afsos