na ruh-e-mazhab na qalb-e-arif na shairana zaban baqi
zamin hamari badal gai hai agarche hai aasman baqi
shab-e-guzishta ke saz o saman ke ab kahan hain nishan baqi
zaban-e-shama-e-sahar pe hasrat ki rah gai dastan baqi
jo zikr aata hai aaKHirat ka to aap hote hain saf munkir
KHuda ki nisbat bhi dekhta hun yaqin ruKHsat guman baqi
fuzul hai un ki bad-dimaghi kahan hai fariyaad ab labon par
ye war par war ab abas hain kahan badan mein hai jaan baqi
main apne miTne ke gham mein nalan udhar zamana hai shad o KHandan
ishaara karti hai chashm-e-dauran jo aan baqi jahan baqi
isi liye rah gai hain aankhen ki mere miTne ka rang dekhen
sunun wo baaten jo hosh uDaen isi liye hain ye kan baqi
tajjub aata hai tifl-e-dil par ki ho gaya mast-e-nazm-e-'akbar'
abhi middle pas tak nahin hai bahut se hain imtihan baqi
Ghazal
Na ruh-e-mazhab na qalb-e-arif na shairana zaban baqi
Akbar Allahabadi