na rota zar-zar aisa na karta shor-o-shar itna
ilahi kya karun dard-e-jigar itna jigar itna
bulane ke tariqe se bulaya kijiye hum ko
rahe malhuz-e-KHatir kam se kam bar-e-digar itna
wo jitna mujh se milte hain usi milne mein KHubi hai
kisi se bhi mile to bas mile har ek bashar itna
tere sath aaj kaise kaise zalim yaad aae hain
na roe the na roenge kabhi hum umr-bhar itna
wahi log aap ke nazdik sachche aashiqon mein hain
ki jin ki aankh mein aansu nahin hai shor-o-shar itna
baDe bhole hain kya duniya mein bhole aise hote hain
unhin main kya samajhta hun na samjhe umr-bhar itna
nahin mashuq to phir kya bala hain koi aafat hain
naya ghussa hai un ka aaj itni baat par itna
wo mujh se kis liye milte hain kya malum logon ko
samajhte honge sab un par bhi hai is ka asar itna
tere aashiq ki surat ab to pahchani nahin jati
satate hain bhala is tarah aisa is qadar itna
kisi surat ye shan-e-dilbari dekhi nahin jati
meri aankhen bhi le ja aur ek ehsan kar itna
kisi ko apni barbaadi ka bais kya bataen hum
mohabbat hai buri shai jaanta hai har bashar itna
luTeron ki ban aae mujh ko shadi marg ho jae
kaha tha kis ne ai data mere daman ko bhar itna
zara bahr-e-KHuda insaf kar aur bhulne wale
taghaful shewa-e-mashuq hota hai magar itna
nahin hai be-KHudi hi ki tamanna hum ko ai saqi
tere maston ka sadqa kuchh zara sa ghunT-bhar itna
adu hum se tumhaare zulm ka shikwa nahin karte
dikhate hain ki dekho hum bhi rakhte hain jigar itna
mujhe jine se tum mayus na-ummid hi rakkho
tasalli do magar itni dilasa do magar itna
diya KHat un ko lekin kab diya jab the wo ghusse mein
na samjha tha payami ki samajh itni hai sar itna
safi' kyun qadr ka talib hua hai is zamane mein
are kam-baKHt tere pas kab hai mal-o-zar itna

Ghazal
Na rota zar-zar aisa na karta shor-o-shar itna
Safi Aurangabadi