اردو हिंदी
Na rona rah gaya baqi na hansna rah gaya baqi | Shaahi Shayari
na rona rah gaya baqi na hansna rah gaya baqi

Ghazal

Na rona rah gaya baqi na hansna rah gaya baqi

Afzal Naved

;

na rona rah gaya baqi na hansna rah gaya baqi
ek apne aap par aawaze kasna rah gaya baqi

hamari KHud-faramoshi ye duniya jaan jaegi
zara sa aur is daldal mein dhansna rah gaya baqi

hawas ke nag ne din raat rakkha apne changul mein
bahut khela hamare tan se Dasna rah gaya baqi

kisi ke pyar ka qissa adhura chhoD aae hum
ulajhna KHud se aur har dam tarasna rah gaya baqi

kisi ko rashk aae kyun na qismat par hamari ab
ujaD aae hain har jaanib se basna rah gaya baqi

kisi ki aankh ne KHwab-e-tahayyur tan rakkha hai
'nawed' us dam-e-yaktai mein phansna rah gaya baqi