اردو हिंदी
Na rasta na koi Dagar hai yahan | Shaahi Shayari
na rasta na koi Dagar hai yahan

Ghazal

Na rasta na koi Dagar hai yahan

Makhmoor Saeedi

;

na rasta na koi Dagar hai yahan
magar sab ki qismat safar hai yahan

sunai na degi dilon ki sada
dimaghon mein wo shor-o-shar hai yahan

hawaon ki ungli pakaD kar chalo
wasila yahi mo'tabar hai yahan

na is shahr-e-be-his ko sahra kaho
suno ek hamara bhi ghar hai yahan

palak bhi jhapakte ho 'maKHmur' kyun
tamasha bahut muKHtasar hai yahan