اردو हिंदी
Na raha shikwa-e-jafa na raha | Shaahi Shayari
na raha shikwa-e-jafa na raha

Ghazal

Na raha shikwa-e-jafa na raha

Ghulam Maula Qalaq

;

na raha shikwa-e-jafa na raha
ho ke dushman bhi aashna na raha

bewafa jaan-o-mal be-sarfa
kya raha jab ki dil-ruba na raha

sabhi aghyar hain sabhi aashiq
e'timad us ka ek ja na raha

KHak tha jis chaman ki rang-e-iram
patte patte ka wan pata na raha

wasl mein kya visal mushkil tha
yaad par roz hijr ka na raha

KHat mera wan gaya gaya na gaya
sar-e-qasid raha raha na raha

dil mein rahta hai kaun gham ke siwa
koi is ghar mein dusra na raha

ghair aur shikwa-e-jafa tum se
hae main qabul-e-wafa na raha

kya hua kyun 'qalaq' ko rote ho
koi is dahr mein sada na raha