na raha gul na KHar hi aaKHir
ek raha husn-e-yar hi aaKHir
ab jo chhuTe bhi hum qafas se to kya
ho chuki wan bahaar hi aaKHir
aatish-e-dil pe aab le dauDa
dida-e-ashk-bar hi aaKHir
zid se naseh ki main ne kar Dala
jeb ko tar tar hi aaKHir
kyun na hun tere dar pe hona hai
ek din to ghubar hi aaKHir
kaam aaya na jae sham-e-mazar
ye dil-e-dagh-dar hi aaKHir
shama-ru par misal-e-parwana
ho gae hum nisar hi aaKHir
wo na aaya idhar 'hasan' afsos
rah gaya intizar hi aaKHir
Ghazal
Na raha gul na Khaar hi aaKHir
Meer Hasan