na ras aai chaman-zar ki faza mujh ko
mizaj-e-barq ne be-ghar bana diya mujh ko
tamam umr bhaTakte rahe jo rahon mein
dikha rahe hain wahi aaj rasta mujh ko
hujum-e-dard mein dil ne to sab ka sath diya
mila na apne hi ashkon ka ham-nawa mujh ko
wo pas the to har ek shai mein dil dhaDakta tha
wo dur hain to khaTakti hai har faza mujh ko
ye karwan na meri gumrahi pe yun hansta
rah-e-talab mein jo milte wo naqsh-e-pa mujh ko
qadam qadam pe sanwara jinhen mohabbat mein
samajh rahe hain wahi ab shikasta-pa mujh ko
koi rafiq na rahbar na koi rahguzar
uDa ke lai hai kis shahr mein hawa mujh ko
'hayat' dukhti hui rag ko kis ne chheD diya
uThi wo Tis ki yaad aa gaya KHuda mujh ko

Ghazal
Na ras aai chaman-zar ki faza mujhko
Masooda Hayat