اردو हिंदी
Na qarib aa na to dur ja ye jo fasla hai ye Thik hai | Shaahi Shayari
na qarib aa na to dur ja ye jo fasla hai ye Thik hai

Ghazal

Na qarib aa na to dur ja ye jo fasla hai ye Thik hai

Bhavesh Dilshad

;

na qarib aa na to dur ja ye jo fasla hai ye Thik hai
na guzar hadon se na had bata yahi daera hai ye Thik hai

na to aashna na hi ajnabi na koi badan hai na ruh hi
yahi zindagi ka hai falsafa ye jo falsafa hai ye Thik hai

ye zaruraton ka hi rishta hai ye zaruri rishta to hai nahin
ye zaruraten hi zaruri hain ye jo wasta hai ye Thik hai

meri mushkilon se tujhe hai kya teri uljhanon se mujhe hai kya
ye takallufat se milne ka jo bhi silsila hai ye Thik hai

hum alag alag hue hain magar abhi kanpkanpati hai ye nazar
abhi apne bich hai kafi kuchh jo bhi rah gaya hai ye Thik hai

meri fitraton mein hi kufr hai meri aadaton mein hi uzr hai
bina soche main kahun kis tarah jo likha hua hai ye Thik hai