اردو हिंदी
Na pure hue ba-KHuda bechte hain | Shaahi Shayari
na pure hue ba-KHuda bechte hain

Ghazal

Na pure hue ba-KHuda bechte hain

Maryam Naz

;

na pure hue ba-KHuda bechte hain
yun KHwab-o-KHayalon ko ja bechte hain

nahin koi muKHlis zamane mein warna
ata bechte the rida bechte hain

tabibon ki sari hai apni kahani
wafa bechte hain shifa bechte hain

chalo tum bhi hum se ye wada karo ab
qasam kha ke sari ana bechte hain

ye ahl-e-zamana kahan jaante hain
dilon mein sulagti sada bechte hain

hue hain wo hum se parae ki aise
laga ke gira phir qaba bechte hain

sitam pe sitam wo kiye ja rahe hain
laga ke wo zaKHm ab dawa bechte hain

nahin hoti un se koi baat bhi to
ye aankhon ke andhe dua bechte hain

bhare mal-o-daulat se kamre hain KHali
hawas ke pujari kala bechte hain

mukammal ho tera funun-e-safar ye
han saghar se kah do dua bechte hain

jo dekha andhera to rahon mein 'mariyam'
amawas ki shab mein ziya bechte hain