na puchho kaun hain kyun rah mein na-chaar baiThe hain
musafir hain safar karne ki himmat haar baiThe hain
idhar pahlu se wo uTThe udhar duniya se hum uTThe
chalo hum bhi tumhaare sath hi bekar baiThe hain
kise fursat ki farz-e-KHidmat-e-ulfat baja lae
na tum bekar baiThe ho na hum bekar baiThe hain
jo uTThe hain to garm-e-justuju-e-dost uTThe hain
jo baiThe hain to mahw-e-arzu-e-yar baiThe hain
maqam-e-dast-giri hai ki tere rah-raw-e-ulfat
hazaron justujuen kar ke himmat haar baiThe hain
na puchho kaun hain kya muddaa hai kuchh nahin baba
gada hain aur zer-e-saya-e-diwar baiThe hain
ye ho sakta nahin 'azad' se mai-KHana KHali ho
wo dekho kaun baiTha hai wahi sarkar baiThe hain
Ghazal
Na puchho kaun hain kyun rah mein na-chaar baiThe hain
Azad Ansari