na puchho jaan par kya kuchh guzarti hai gham-e-dil se
qarar aana kahan ka sans bhi aati hai mushkil se
ba-har-surat safina Dub jata hai mohabbat ka
kabhi Takra ke tufan se kabhi Takra ke sahil se
ise kahte hain mahrumi use kahte hain nakaami
sar-e-manzil pahunch kar bhi hun ab tak dur manzil se
dil-e-betab pata hai sukun kab josh-e-ulfat mein
ye dariya maujzan ho ho ke Takraata hai sahil se
yahan tak rafta rafta baDh gaya ehsas-e-mahrumi
unhen dekha magar tishna-nazar uTTha hun mahfil se
Ghazal
Na puchho jaan par kya kuchh guzarti hai gham-e-dil se
Abrar Shahjahanpuri