na puchh rabt hai kya us ki dastan se mujhe
bichhaD gaya ki bichhaDna tha karwan se mujhe
mere badan mein koi bhar de barf ke TukDe
ki aanch aati hai raaton ko kahkashan se mujhe
kiraya-dar badalna to us ka shewa tha
nikal kar wo bahut KHush hua makan se mujhe
sadaen jism ki diwar par karti hain
koi pukar raha hai magar kahan se mujhe
khaDa khaDa yunhi sar par kahin na aan gire
laga hi rahta hai ye dar bhi aasman se mujhe
ab us ki bari hai to us se kaise munh moDun
kabhi to us ne bhi chaha tha jism-o-jaan se mujhe
mere iradon ko wo mujh se puchh kar 'afsar'
do-chaar kar gaya ek aur imtihan se mujhe
Ghazal
Na puchh rabt hai kya uski dastan se mujhe
Aleem Afsar