na puchh meri kahani kahan se nikli hai
ye dastan bhi teri dastan se nikli hai
jigar ko chir liya shauq mein chaTanon ne
sada-e-ishq jab aab-e-rawan se nikli hai
sabhi pe KHauf musallat tha na-KHudaon ka
jo baat haq thi hamari zaban se nikli hai
chhua hai tujh ko to mera sulag uTha hai badan
ye kaisi aanch tere jism-o-jaan se nikli hai
falak ke sare nazare hue hain halqa-ba-gosh
baraat kis ki dar-e-kahkashan se nikli hai
Ghazal
Na puchh meri kahani kahan se nikli hai
Shahzad Anjum Burhani