اردو हिंदी
Na phul hun na sitara hun aur na shoala hun | Shaahi Shayari
na phul hun na sitara hun aur na shoala hun

Ghazal

Na phul hun na sitara hun aur na shoala hun

Rifat Sarosh

;

na phul hun na sitara hun aur na shoala hun
guhar hun dard ka aur ashk ban ke rahta hun

wo ek bachcha hai hasrat se dekhta hai mujhe
main us ke hath mein TuTa hua khilauna hun

ye soch kar ki bichhaDna hai ek din KHud se
main apne-ap se pahron lipaT ke roya hun

ajib shaKHs meri zindagi mein aaya tha
na yaad rakhun use aur na bhul sakta hun

laraz rahi hain meri ungliyan qalam thame
na jaane aaj main kya baat likhne wala hun

mujhe pukar ki main Dub hi na jaun kahin
main be-qarar samundar mein ek jazira hun

guzar chuke hain bahut karwan idhar se 'sarosh'
magar main apne hi gard-e-safar se lipTa hun