na parda kholiyo ai ishq gham mein tu mera
kahin na samne un ke ho zard ru mera
tum apni zulf se puchho meri pareshani
ki haal us ko hai malum hu-ba-hu mera
agarche lakh rafu-gar ne dil kiya behtar
ye jab bhi ho na saka zaKHm-e-dil rafu mera
faqat wo is liye aate hain jaanib-e-zindan
ki phans ke ghuTne lage tauq mein gulu mera
nishana tir-e-nigah ka ba-dil karun 'arif'
laDae aankh agar mujh se jang-ju mera
Ghazal
Na parda kholiyo ai ishq gham mein tu mera
Zain-ul-Abideen Khan Arif