na paimane khanakte hain na daur-e-jam chalta hai
nai duniya ke rindon mein KHuda ka nam chalta hai
gham-e-ishq se hain gham-e-hasti ke hangame juda lekin
wahan bhi din guzarte hain yahan bhi kaam chalta hai
chhupe hain lakh haq ke marhale gum-nam honTon par
usi ki baat chal jati hai jis ka nam chalta hai
junun-e-rah-rawi-e-waqt ki raftar se puchho
koi manzil nahin lekin ye subh o sham chalta hai
'shakil'-e-mast ko masti mein jo kahna hai kahne do
ye mai-KHana hai ai waiz yahan sab kaam chalta hai
Ghazal
Na paimane khanakte hain na daur-e-jam chalta hai
Shakeel Badayuni