na pahunche chhuT kar kunj-e-qafas se hum nasheman tak
par-e-parwaz ne yari na ki diwar-e-gulshan tak
wo be-dil hun ki mujh se dosti karta hai dushman tak
wo rahraw hun ki mujh ko rah batlata hai rahzan tak
pas-e-murdan ye ai mashshata-e-baad-e-saba karna
hamari KHak surma ban ke pahunche chashm-e-rauzan tak
KHizan mein dekh lena wadi-e-pur-KHar se bad-tar
chaman bhi hai bahaar-e-lala-o-nasrin-o-sosan tak
kidhar aaya hai dil pachhtaoge nadan na ho dekho
na pahunchoge kabhi ai 'mehr' tum us shoKH-e-har-fan tak
Ghazal
Na pahunche chhuT kar kunj-e-qafas se hum nasheman tak
Abdullla Khan Mehr Lakhnavi