na pahuncha sath yarana-e-safar ki na-tawani se
main sar paTka kiya ek umr sag-e-saKHt-jaani se
ada fahman-e-shauq-e-wasl ho tur-e-tajalli par
maza didar ka milta hai bang-e-lan-tarani se
murid-e-murshid-e-himmat hun main meri tariqat mein
kafan bhi sath lana nang hai duniya-e-fani se
wo sargarm-e-bayan-e-sozish-e-dagh-e-mohabbat hun
hazar karta hai shoala bhi meri aatish-bayani se
hamare ghuncha-e-dil ko tabassum ki na di fursat
raha hum ko ye shikwa lutma-e-baad-e-KHizani se
sharab-e-ishq ka saghar diya hai mujh ko saqi ne
na uTThunga main mahshar ko bhi apni sargirani se
hamein wo rah batlai hai KHizr-e-ishq ne 'aishi'
niahan-e-raftgan paida hai jis mein be-nishani se
Ghazal
Na pahuncha sath yarana-e-safar ki na-tawani se
Talib Ali Khaan Aishi