na paniyon ka iztirar shahr mein 
na mausamon ka e'tibar shahr mein 
misal-e-mauja-e-hawa idhar udhar 
rawan-dawan hai intishaar shahr mein 
hai shab gae gharon mein raushni si kya 
hai sab ko kis ka intizar shahr mein 
har ek nigah be-maqam be-jahat 
har ek jism be-dayar shahr mein 
har ek rang aaine pe gard sa 
har ek naqsh dil-e-figar shahr mein 
KHuda ke nam jhuT sach ke silsile 
KHuda bahut hai nam-dar shahr mein
        Ghazal
Na paniyon ka iztirar shahr mein
Farooq muztar

