na nikla munh se kuchh nikli na kuchh bhi qalb-e-muztar ki 
kisi ke samne main ban gaya taswir patthar ki 
KHuda se kyun na mangun wah main bandon se kya mangun 
mujhe mil jaegi jo chiz hai mere muqaddar ki 
tasawwur chahiye ai shaiKH sab ka ek ima hai 
sada hai parda-e-naqus mein allahu-akbar ki 
dil-e-rahat-talab ko qabr mein kya be-qarari hai 
mujhe ghabrae deti hai udasi is nae ghar ki 
kaleje mein hazaron dagh dil mein hasraten lakhon 
kamai le chala hun sath apne zindagi bhar ki 
sambhal kar dekhna aaraishon ke baad aaina 
ye aaina nahin hai ab ye TukDe hai barabar ki 
mere ashaar 'shair' dagh o aasif jah se puchho 
ki shah o jauhri hi jaante hain qadr gauhar ki
        Ghazal
Na nikla munh se kuchh nikli na kuchh bhi qalb-e-muztar ki
Agha Shayar Qazalbash

