na nawazishon ki hai aarzu na teri jafa ka malal hai
tu nazar se apni gira na de yahi ek dil mein KHayal hai
tujhe jaan-e-mehr-o-wafa kahen tujhe aks-e-shan-e-KHuda kahen
tujhe kya se kya hai bana diya ye meri nazar ka kamal hai
hai usi se ruh mein tazgi yahi qalb-o-jaan ki hai raushni
tu KHuda-ra tark-e-sitam na kar meri zindagi ka sawal hai
teri rah mein teri chah mein ye maqam kaun sa aa gaya
ki KHushi ki mujh ko KHushi nahin na malal hi ka malal hai
wo nazar kisi ki jhuki jhuki wo hansi kisi ki ruki ruki
kise pas-e-zabt ka hosh hai kise guftugu ki majal hai
kabhi rote rote hansa diya kabhi hanste hanste rula diya
teri yaad hi se hai har KHushi tere zikr hi se malal hai
Ghazal
Na nawazishon ki hai aarzu na teri jafa ka malal hai
Nayyar Aasmi