na murawwat hai na ulfat na wafa mere baad
mera sarmaya bhi duniya se uTha mere baad
bazm-e-matam hi mein aa jao zara mere baad
chahiye kuchh to tumhein pas-e-wafa mere baad
sham-e-madfan se ulajhti hai saba mere baad
kaisi bigDi hai zamane ki hawa mere baad
charKH kam-zarf hai sar-garm-e-jafa mere baad
us ko marqad bhi khaTakta hai mera mere baad
kaun leta tha gham-e-arz-o-sama mere baad
marne wala koi paida na hua mere baad
hae phir bhi na miTa un ki tabiat ka ghubar
kar chuke KHak meri waqf-e-saba mere baad
husn ka dekhne wala koi baqi na raha
kis se karte ho tum ab sharm-o-haya mere baad
tum ne do phul to madfan pe chaDhae hote
tum se itna bhi kabhi ho na saka mere baad
ho gaya qais ko bhi ishq ka dawa paida
ek afsana naya tum ne suna mere baad
hum ne dekha nahin us zarf ka pine wala
shisha karta hai ye saqi se gila mere baad
meri hasti se qayamat ke uThe hain fitne
chhup ke parda mein koi rah na saka mere baad
zulf khole hue rote hain wo pain-e-mazar
jazb-e-ulfat ne baDa kaam kiya mere baad
KHak-e-turbat se meri log shifa pate hain
maraz-e-ishq ki nikli hai dawa mere baad
ab wo aaram kahan ghair ke virane mein
shab-e-furqat hai giraftar-e-bala mere baad
barq ne rakkha hai derina talluq qaem
aashiyana mein mere phul paDa mere baad
TukDe hota hai jigar sun ke mohabbat ka bayan
koi sunta nahin bulbul ki sada mere baad
shaiKH-e-makka ne paDhai hai janaze ki namaz
log samjhe mujhe kya jaaniye kya mere baad
kyun baDhe un ka qadam gor-e-ghariban ki taraf
hath aaya hai unhen uzr-e-hina mere baad
nau-giraftar-e-bala ek mera dam nikla
dam-e-sayyaad mein koi na phansa mere baad
mujh se badnam hue shisha-o-jam-o-sahba
kya kahegi mujhe maKHluq-e-KHuda mere baad
fatiha kaun paDhe qabr ko Thukraate hain
un ko sujhi hai qayamat ki ada mere baad
malak-ul-maut se uljhenge wo ye Dar hai mujhe
dekhiye kis pe chale tegh-e-ada mere baad
be-hijabana uTha dijiye chehre se naqab
aur ab kaun hai mushtaq-laqa mere baad
mere phulon se bhi daman ko bachaya us ne
log samjhe hain taghaful ko haya mere baad
bul-hawas ishq ke parde mein numudar hue
ab kahan shewa-e-taslim-o-raza mere baad
zabh ke waqt bhi qatil ko duaen di hain
qatre qatre se Tapakti hai wafa mere baad
zulf khole hue aae ho saf-e-matam mein
KHub sujha amal-e-radd-e-bala mere baad
jaan dete hain shahadat ki tamanna mein gharib
lab-e-qatil pe ye jari hai sada mere baad
kakul-e-saqi-e-kausar ka tasawwur ban kar
qabr par aai hai rahmat ki ghaTa mere baad
guftugu raat ye thi hashr bapa kab hoga
baDh ke 'rasiKH' ne sar-e-bazm kaha mere baad

Ghazal
Na murawwat hai na ulfat na wafa mere baad
Mohammad Yusuf Rasikh