na mulla hun na mufti hun na waiz hun na qazi hun 
gunahgar o KHata-kar o raza-e-haq pe raazi hun 
jahan se hun yahan aaya wahan jaunga aaKHir ko 
mera ye haal hai yaro na mustaqbil na mazi hun 
main hun nadan dur-uftada danai ke diwan se 
na sani hun sahabi ka na ham-bazm-e-bayazi hun 
pareshan dil hun main tanhai se 'matam' zamane mein 
na ham-dauran-e-faizi hun na ham-asr-e-fayazi hun
        Ghazal
Na mulla hun na mufti hun na waiz hun na qazi hun
Maatam Fazl Mohammad

