اردو हिंदी
Na mohtasib ki na hur-o-jinan ki baat karo | Shaahi Shayari
na mohtasib ki na hur-o-jinan ki baat karo

Ghazal

Na mohtasib ki na hur-o-jinan ki baat karo

Abdul Majeed Salik

;

na mohtasib ki na hur-o-jinan ki baat karo
mai-e-kuhan ki nigar-e-jawan ki baat karo

kisi ki tabish-e-ruKHsar ka kaho qissa
kisi ke gesu-e-ambar-fishan ki baat karo

ziya hai shahid-o-shama-o-sharab se us ki
farogh-e-mahfil-e-ruhaniyan ki baat karo

jo muddaa ho kisi qibla-e-murad ka zikr
to aastana-e-pir-e-mughan ki baat karo

nahin hua jo tulua aaftab to filhaal
qamar ki baat karo kahkashan ki baat karo

rahega mashghala-e-yaad-e-raftgan kab tak
guzar raha hai jo us karwan ki baat karo

ye qaid-o-said ke andesha-ha-e-be-ja kya
chaman ki fikr karo aashiyan ki baat karo

yahi jahan hai hangama-zar-e-sud-o-ziyan
isi ke sud isi ke ziyan ki baat karo

ab is chaman mein na sayyaad hai na gulchin hai
karo to ab sitam-e-baghban ki baat karo

KHuda ke zikr ka mauqa nahin yahan 'salik'
dayar-e-hind mein husn-e-butan ki baat karo