na mere pas izzat-e-ramazan
na kabhu ki ibaadat-e-ramazan
dushman-e-aish ka main dushman hun
go ki the farz hurmat-e-ramazan
mujh ko masjid se kaam nahin illa
sunne jata hun ruKHsat-e-ramazan
shaiKH rota hai apni rozi ko
ki na az-bahr-e-furqat-e-ramazan
kuchh na hasil hua kisi ke tain
ghair faqa badaulat-e-ramzan
zahid-e-KHushk ke tain dekhe
yaad aati hai surat-e-ramazan
mere ham-mashrabon mein aa 'taban'
rijhte honge hazrat-e-ramazan

Ghazal
Na mere pas izzat-e-ramazan
Taban Abdul Hai