اردو हिंदी
Na mil saka kahin DhunDe se bhi nishan mera | Shaahi Shayari
na mil saka kahin DhunDe se bhi nishan mera

Ghazal

Na mil saka kahin DhunDe se bhi nishan mera

Nashtar Khaanqahi

;

na mil saka kahin DhunDe se bhi nishan mera
tamam raat bhaTakta raha kisan mera

main ghar basa ke samundar ke bich soya tha
uTha to aag ki lapTon mein tha makan mera

junun na kahiye ise KHud-aziyyati kahiye
badan tamam hua hai lahu-luhan mera

hawaen gard ki surat uDa rahi hain mujhe
na ab zamin hi meri hai na aasaman mera

dhamak kahin ho larazti hain khiDkiyan meri
ghaTa kahin ho Tapakta hai saeban mera

musibaton ke bhanwar mein pukarte hain mujhe
ajib dost hain lete hain imtihan mera

kise KHutut likhun haal-e-dil sunaun kise
na koi harf-e-shanasa na ham-zaban mera