na manzil hai na manzil ka nishan hai
hamara karwan phir bhi rawan hai
usi Dali pe apna aashiyan hai
taDapti jis jagah barq-e-tapan hai
hui hain kargar ghairon ki chaalen
tere lab par nahin hai ab na han hai
rahe sayyaad har dam jis chaman mein
wahan gham ki hikayat jawedan hai
surur-o-naghma hain ab kal ki baaten
yahan to ab faqat aah-o-fughan hai
unhen kyun ranj ho jaur-o-sitam par
sitamrani to KHu-e-mahweshan hai
nahin insan ki qimat koi 'rifat'
purane daur ki baat ab kahan hai
Ghazal
Na manzil hai na manzil ka nishan hai
Sudarshan Kumar Vuggal