na mandir mein sanam hote na masjid mein KHuda hota
hamin se ye tamasha hai na hum hote to kya hota
na aisi manzilen hotin na aisa rasta hota
sambhal kar hum zara chalte to aalam zer-e-pa hota
ghaTa chhati bahaar aati tumhaara tazkira hota
phir us ke baad gul khilte ke zaKHm-e-dil hara hota
zamane ko to bas mashq-e-sitam se lutf lena hai
nishane par na hum hote to koi dusra hota
tere shan-e-karam ki laj rakh li gham ke maron ne
na hota gham to is duniya mein har banda KHuda hota
musibat ban gae hain ab to ye sanson ke do tinke
jala tha jab to pura aashiyana jal gaya hota
hamein to Dubna hi tha ye hasrat rah gai dil mein
kinare aap hote aur safina Dubta hota
are-o jite-ji dard-e-judai dene wale sun
tujhe hum sabr kar lete agar mar ke juda hota
bula kar tum ne mahfil mein hamein ghairon se uThwaya
hamin KHud uTh gae hote ishaara kar diya hota
tere ahbab tujh se mil ke phir mayus lauT aae
tujhe 'naushad' kaisi chup lagi kuchh to kaha hota
Ghazal
Na mandir mein sanam hote na masjid mein KHuda hota
Naushad Ali