na main wo raha kya se kya ho gaya
kya mile tum mujhe main KHuda ho gaya
waqt kaTe na kaTta tha kal tak mera
dil hai masruf jab se fida ho gaya
ek tera nam hi bas mujhe yaad hai
aaj-kal ye mera falsafa ho gaya
har kisi ki zaban pe hai charche mere
mano aKHbar main aaj ka ho gaya
us ke dar pe shab-o-roz ja baiThna
kaam hum se yahi ek baDa ho gaya
na mile aise shair zamane hue
ek 'ghaalib' tha main dusra ho gaya
Ghazal
Na main wo raha kya se kya ho gaya
Jatinder Vir Yakhmi u0027jayaveeru0027