اردو हिंदी
Na main dariya na mujh mein zoam koi be-karani ka | Shaahi Shayari
na main dariya na mujh mein zoam koi be-karani ka

Ghazal

Na main dariya na mujh mein zoam koi be-karani ka

Khurshid Talab

;

na main dariya na mujh mein zoam koi be-karani ka
ki main hun bulbule ki shakl mein ehsas pani ka

mohabbat mein teri apni zaban ko si liya main ne
asar zail na ho jae teri jadu-bayani ka

ajab kya hai jo meri dastan-e-KHun-chakan se bhi
koi pahlu nikal aae kisi ki shadmani ka

main apne panw ki zanjir ek din KHud hi kaTunga
hadaf banna nahin mujh ko kisi ki mehrbani ka

tumhaare samne aaun tumhein apni safai dun
sabab malum ho tab na tumhaari bad-gumani ka

mera sina hazaron chiKHti ruhon ka maskan hai
wasila hun main gungi hasraton ki tarjumani ka

hamara ahd bhi likkhe alif-laila ke jaisa kuchh
badalna chahiye ab rang kuchh qissa-kahani ka

nahin tere liye ye do minute ki chup nahin kafi
tera gham mustahiq hai umr bhi ki nauha-KHwani ka

meri taid mein bhi ab kisi ka honT to kanpe
koi to dard banTe aae meri be-zabani ka