اردو हिंदी
Na mahfil aisi hoti hai na KHalwat aisi hoti hai | Shaahi Shayari
na mahfil aisi hoti hai na KHalwat aisi hoti hai

Ghazal

Na mahfil aisi hoti hai na KHalwat aisi hoti hai

Shaz Tamkanat

;

na mahfil aisi hoti hai na KHalwat aisi hoti hai
mere mabud kya jine ki surat aisi hoti hai

bas ek kaifiyyat-e-KHud-raftagi tanhaiyan apni
hamein milti hai fursat bhi to fursat aisi hoti hai

ye duniya sar-ba-sar ranginiyon mein Dub jati hai
teri qamat ki har shai mein shabahat aisi hoti hai

dar-o-diwar par bas ek sannaTe ki raunaq hai
mere mehman se puchho ghar ki jannat aisi hoti hai

kahan apni siyah-kari kahan ye teri masumi
tujhe dekha nahin jata nadamat aisi hoti hai

koi dekhe tujhe to az-sar-e-nau zindagi mange
riwayat jhuT hai qatil ki surat aisi hoti hai

ye majburi, mohabbat bhik jaisi bhi gawara hai
kabhi din raat ko teri zarurat aisi hoti hai

bichhaD kar tujh se milne ki masarrat bhul jata hun
ki mil kar phir bichhaDne ki aziyyat aisi hoti hai