اردو हिंदी
Na mah ne kaund bijli ki na shoale ka ujala hai | Shaahi Shayari
na mah ne kaund bijli ki na shoale ka ujala hai

Ghazal

Na mah ne kaund bijli ki na shoale ka ujala hai

Nazeer Akbarabadi

;

na mah ne kaund bijli ki na shoale ka ujala hai
kuchh is gore se mukhDe ka jhamkaDa hi nirala hai

wo mukhDa gul sa aur us par jo naranji do-shaala hai
ruKH-e-KHurshid ne goya shafaq se sar nikala hai

kan-ankhiyon ki nigah gupti ishaarat qahr chitwan ke
jo wun dekha to barchhi hai jo yun dekha to bhaala hai

kahin KHurshid bhi chhupta hai ji barik parde mein
uTha do munh se parde ko baDa parda nikala hai

khule baalon se munh ki raushni phuTi nikalti hai
tumhaara husn to sahab andhere ka ujala hai

na jhamken kis tarah kanon mein us ke husn ke jhumke
idhar bunda udhar jhumka idhar bijli ka baala hai

'nazir' us sang-dil qatil pe dawa KHun ka mat kar
miyan ja tujh se yan kitnon ko us ne mar Dala hai