na mani us ne ek bhi dil ki
dil hi mein baat rah gai dil ki
gesu-e-yar mein ye baat kahan
aur hi shai hai barhami dil ki
khinchte hain wo tir pahlu se
khoe dete hain dil-lagi dil ki
yun wo nikle taDap ke pahlu se
shakl aankhon mein phir gai dil ki
ghaTti jati hai un ki mehr-o-wafa
baDhti jati hai be-KHudi dil ki
chhoD do in se rasm-o-rah 'nasim'
chahte ho jo behtari dil ki
Ghazal
Na mani usne ek bhi dil ki
Naseem Bharat Puri