اردو हिंदी
Na mah-ru na kisi mahtab se hui thi | Shaahi Shayari
na mah-ru na kisi mahtab se hui thi

Ghazal

Na mah-ru na kisi mahtab se hui thi

Ali Muzammil

;

na mah-ru na kisi mahtab se hui thi
hamein to pahli mohabbat kitab se hui thi

fareb-e-kul hai zamin aur namuna-e-azdad
ki ibtida hi gunah-o-sawab se hui thi

bas ek shab ki kahani nahin ki bhul saken
har ek shab hi mumasil itab se hui thi

wajud-e-chashm tha Thahre samundaron ki misal
numud-e-haalat-e-dil ek habab se hui thi

jaza-e-ishq-e-haqiqi rahi talab apni
KHata-e-ishq-e-majazi janab se hui thi

usi se tira-shabi mein hai manzaron ka wajud
wo raushni jo mashiyyat ke bab se hui thi

wahi to jehd-e-musalsal ki ibtida thi 'ali'
jab aashnai qadam ki rikab se hui thi